gulon ki khun-shudgi ko shaguftagi na samajh hujum-e-rang se andaza-e-bahaar na kar kuchh ehtiram bhi kar gham ki waza-dari ka giran hai arz-e-tamanna to bar bar na kar wo aur pursish-e-ahl-e-wafa fareb na kha dil aur tark-e-gham-e-yar e'tibar na kar khizan ke sainkadon manzar hain ai fareb-e-khayal tulu-e-subh-e-bahaaran ka e'tibar na kar