gulon ki palki mein hai bahaaron ki wo beTi hai

gulon ki palki mein hai bahaaron ki wo beti hai
chaheti chand ki raushan sitaron ki wo beti hai

hamari izzaten sanjhi hain boli koi bhi bolen
kisi bhi ek ki iffat so chaaron ki wo beti hai

wo chalti hai to rahon mein surile saz bajte hain
kisi ujli nadi ke shokh dhaaron ki wo beti hai

kiya hai be-rida jis ne mere dahqan ki beti ko
watan ke nam-lewa ghamgusaron ki wo beti hai

badi muddat talak jis bahn ko hum ne adu samjha
sitam sahti rahi hai kohsaron ki wo beti hai

surili bansuri ki tan us ki guftugu thahri
tarashida pari-rukh shahkaron ki wo beti hai

hamari zindagi be-kaif guzri hai 'rashid' hasrat
nahin jis mein koi sukh regzaron ki wo beti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close