surkh-ru nazron mein hone ka bahana chahun jo mere pas hai sab tujh pe ganwana chahun pas hi chashma ubalta hai ye malum na tha tishnagi chal ki teri pyas bujhana chahun lahren sahil se lipatne ko machal jati thin tujh ko manzar main wahi yaad dilana chahun wo ki har lamha meri ruh ko sairab kare main ki har raat bichhadne ka bahana chahun tum to zarkhez zamin pa ke bhi mayus hue main to sahraon mein bhi khwab ugana chahun kuch kar jaunga pau phatte hi manzil ki taraf aaj ki raat musafir hun thikana chahun main ne anjaane jaziron ka safar chhod diya yar ki basti mein phir laut ke aana chahun zindagi teri paheli to kathin hai lekin tujh ko paun to isi rup mein pana chahun