gulon mein rang bhare baad-e-nau-bahaar chale chale bhi aao ki gulshan ka karobar chale qafas udas hai yaro saba se kuchh to kaho kahin to bahr-e-khuda aaj zikr-e-yar chale kabhi to subh tere kunj-e-lab se ho aaghaz kabhi to shab sar-e-kakul se mushk-bar chale bada hai dard ka rishta ye dil gharib sahi tumhaare nam pe aaenge gham-gusar chale jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijran hamare ashk teri aaqibat sanwar chale huzur-e-yar hui daftar-e-junun ki talab girah mein le ke gareban ka tar tar chale maqam 'faiz' koi rah mein jacha hi nahin jo ku-e-yar se nikle to su-e-dar chale