go sab ko baham saghar o baada to nahin tha ye shahr udas itna ziyaada to nahin tha galiyon mein phira karte the do chaar diwane har shakhs ka sad chaak labaada to nahin tha manzil ko na pahchane rah-e-ishq ka rahi nadan hi sahi aisa bhi sada to nahin tha thak kar yunhi pal bhar ke liye aankh lagi thi so kar hi na utthen ye irada to nahin tha waiz se rah-o-rasm rahi rind se sohbat farq in mein koi itna ziyaada to nahin tha