gulon mein rang nahin mausam-e-bahaar nahin

gulon mein rang nahin mausam-e-bahaar nahin
meri hayat magar phir bhi sogwar nahin

hai daur-e-ishq yahan jabr-o-ikhtiyar nahin
sukun-e-dil ke liye koi be-qarar nahin

yahi uruj-e-mohabbat yahi usul-e-wafa
kisi sahar ke liye sham-e-intizar nahin

gham-o-khushi to yahan aate jate rahte hain
magar ye zist ka ai dost e'tibar nahin

har ek shai mein usi ka jamal hai maujud
dil-o-nazar ko meri koi intishaar nahin

ilahi bakhsh de har ek ke gunahon ko
wo kaun hai jo tere aage sharmsar nahin

'nasim' aa ke pareshan hai aise sahra mein
jahan na aab-o-giyah gul nahin hai khar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close