gulshan-e-ishq mein ghuncha bhi kali hota hai

gulshan-e-ishq mein ghuncha bhi kali hota hai
nam aashiq ka bhi mashuq-ali hota hai

khan kahta hai wahan mun-gphali hota hai
phul hoti hai pishawar mein kali hota hai

jab wo padhti hai tarannum se ghazal ka matla
us ki aankhon mein bhi ita-e-jali hota hai

ek biwi pe jo karta hai qanaat ta-umr
wo to shauhar nahin hota hai wali hota hai

sas ne aaj khilai hai jalebi mujh ko
nim ka ped bhi misri ki dali hota hai

marshall-law ka main hami to nahin hun lekin
daur-e-jamhur bhi ab band gali hota hai

jis ke lahje mein ho shaistagi-e-tanz-e-latif
aisa shaer hi zarif-e-azali hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close