gulshan gulshan shoala-e-gul ki zulf-e-saba ki baat chali harf-e-junun ki band-e-giran ki jurm-o-saza ki baat chali zindan zindan shor-e-junun hai mausam-e-gul ke aane se mahfil mahfil ab ke baras arbab-e-wafa ki baat chali ahd-e-sitam hai dekhen hum aashufta-saron par kya guzre shahr mein us ke band-e-qaba ki rang-e-hina ki baat chali ek ho diwana ek ne sar teshe se phod liya kaise kaise log the jin se rasm-e-wafa ki baat chali tut gain naghmon ki tanaben sher ke kheme rakh hue bazm-e-sukhan mein jab bhi 'salim' is shoala-nawa ki baat chali