galiyon mein lahu-rezi ka kuchh hal nikal aae log is liye khud jaanib-e-maqtal nikal aae main kasa-ba-daston ke qabile ka hun lekin khush-qismati se hath mere shal nikal aae rone se mujhe khalq-e-khuda rok rahi thi phir meri taraf-dari mein baadal nikal aae ek sath-e-mohabbat pe khada soch raha hun aisa na ho ye jhil bhi daldal nikal aae afsos ki ab bhi hain tere dam mein kuchh kuchh hum samjhe the is bar mukammal nikal aae aabaad rahe shahr-e-khamoshan kise malum mujh aisa musafir yahan kis pal nikal aae