gulshan ho nigahon mein to jannat na samajhna dam-bhar ki inayat ko mohabbat na samajhna kya shai hai mata-e-gham-o-rahat na samajhna jina hai to jine ki haqiqat na samajhna ho khair tere gham ki ki hum ne tere gham se sikha hai masarrat ko masarrat na samajhna nisbat hi nahin koi mohabbat ko khirad se ai dil kabhi mafhum-e-mohabbat na samajhna ye kis ne kaha tum se ki rudad-e-wafa ko sun kar bhi samajhne ki zarurat na samajhna virani-e-mahaul ko barbaadi-e-dil ko har daur mein aasar-e-mohabbat na samajhna sar kham ho agar maslahat-e-waqt ke aage is jabr-e-musalsal ko ibaadat na samajhna dekhe jo tumhein koi mohabbat ki nazar se lillah 'shakil' us ko mohabbat na samajhna