hum kise karte bhala rahbar-e-manzil apna rah-e-ulfat mein na tha koi ba-juz dil apna chain deta nahin dam-bhar dil-e-bismil apna mukhtasar ye hai ki qabu mein nahin dil apna kyun na aasan ho tariki-e-shab mein bhi safar dagh-e-dil jab hai charagh-e-rah-e-manzil apna lakh chaha ki na fariyaad karen hum lekin dard-e-furqat na raha zabt ke qabil apna qabr mein bhi hamein aaram ki ummid ho kya aashna pahlu-e-rahat se nahin dil apna sath hasti mein diya ta-dam-e-akhir dil ne itna dam-saz koi hoga ba-mushkil apna mujh ko dushwar na tha ishq se pahle kuchh bhi ab to har kaam nazar aata hai mushkil apna ab to fariyaad ki taqat na rahi ai 'shoala' warna har nala falak se tha muqabil apna