gulshan ka sana-khwan hun bayaban mein pada hun tair hun magar gosha-e-zindan mein pada hun hun muntazir-e-qafila-e-misr-e-tamanna yusuf hun abhi chah-e-bayaban mein pada hun milta nahin bazar se pairahan-e-yusuf yaqub hun tariki-e-kanan mein pada hun aankhon pe hai ek manzar-e-kam-dida ka parda main kab se teri yaad ke zindan mein pada hun tu hai ki mujhe dur se karta hai ishaare main hun ki rah-e-husn-e-gurezan mein pada hun mana ki nahin 'arsh' koi gosh-bar-awaz kya kam hai ki main kucha-e-jaanan mein pada hun