gulshan ko kuchh nasib tar-o-tazgi nahin kaisi bahaar aai ki lai khushi nahin gul sina-chaak kaliyan abhi tak udas hain fasl-e-bahaar mein bhi khizan ki kami nahin ghaarat-gar-e-chaman kahin khud baghban na ho aisi to bebasi kabhi gulshan mein thi nahin kanton ko chun ke phenk na gulshan se baghban kante nahin to bagh ki phir khair bhi nahin phulon mein lali aai hai mere hi khun se lekin bahaar ab mujhe pahchanti nahin kanton ke sath phulon ka husn-e-suluk dekh pahlu-e-ghair mein bhi unhen barhami nahin aankhon se hum ne ashk ke dariya baha diye lekin jigar ki aag bujhae bujhi nahin ai dost ek tu hi nahin hai asir-e-gham aisa hai kaun jis ko gham-e-zindagi nahin kante rah-e-hayat mein har har qadam pe hain phulon ki sej ai 'zaki' yeh zindagi nahin