gulshan se aae hain na bayaban se aae hain diwane tere sarhad-e-imkan se aae hain ek mah-wash ke husn-e-farozan ke faiz se dil mein tajalliyat ke tufan se aae hain aankhon mein hai bahaar-e-do-alam basi hui hum log aaj mahfil-e-jaanan se aae hain kya tere bas mein un ka mudawa bhi hai koi dil mein jo zakhm lutf-e-farawan se aae hain allah re ehtimam-e-bahaaran ke silsile sahra mein phul sehn-e-gulistan se aae hain un ke karam ki muft mein tauhin ho gai ilzam hum pe tangi-e-daman se aae hain dil ko gham-e-jahan ki shikayat nahin rahi aadab-e-zist sohbat-e-rindan se aae hain kya yaad aa gai wo nigah-e-jamil-tar phir dil mein iztirab ke paikan se aae hain 'parwez' aasman ko na badnam kijiye jitne sitam hain ku-e-nigaran se aae hain