husn paband-e-jafa ho jaise

husn paband-e-jafa ho jaise
ye koi khas ada ho jaise

yun teri yaad hai mere dil mein
kisi marghat mein diya ho jaise

ho gaya sukh ke kanta har phul
ye mahakne ki saza ho jaise

meri furqat ka gham-agin aalam
chhup ke tu dekh raha ho jaise

kashtiyan gharq hui jati hain
nakhuda ho na khuda ho jaise

allah allah tera andaz-e-khiram
har qadam mauj-e-saba ho jaise

kitni pur-kaif hai ye zulmat-e-shab
teri zulfon ki ghata ho jaise

tere honton pe tabassum tauba
mah-o-anjum ki ziya ho jaise

un se karta hun taghaful ka gila
ishq mein ye bhi rawa ho jaise

is tarah ishq se dil-shad hain hum
yahi har gham ki dawa ho jaise

us se aati nahin ab koi sada
saz-e-dil tut gaya ho jaise

dekh kar tujh ko ye hota hai guman
tu mere dukh ki dawa ho jaise

un ko yun dhund raha hun 'parwez'
ishq se husn juda ho jaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close