gulzar-e-jahan mein gul ki tarah go shad hain hum shadab hain hum kahti hai ye hans kar subh-e-khizan sab naz-e-abas ek khwab hain hum kis mah-e-laqa ke ishq mein yun bechain hain hum betab hain hum kirnon ki tarah aawara hain hum taron ki tarah be-khwab hain hum mit jaane pe bhi masrur hain hum murjhane pe bhi shadab hain hum shahba-e-shabab-o-ishq ka ek bhula hua rangin khwab hain hum fitrat ke jamal-e-rangin se hum ne bhi uthae hain parde barbat hai agar firdaus-e-jahan to is ke liye mizrab hain hum khush-waqti hai wajh-e-ranj-o-alam gulzar-e-jahan mein ai hamdam tair na pukaren shad hain hum ghunche na kahen shadab hain hum milne pe gar aaen koi makan khali nahin apne jalwon se aur gosha-nashin ho jaen agar kamyab nahin nayab hain hum do din ke liye hum aae hain ek shab ki jawani lae hain firdaus-e-sara-e-hasti mein hum rang-e-gul-e-mahtab hain hum ruswai-e-sher-o-ishq ne wo rutba hamein 'akhtar' bakhsha hai fakhr-e-dakan-o-bangal hain hum naz-e-awadh-o-panjab hain hum