nahin hai amn ka duniya mein ab maqam koi khuda khuda kahe koi ki ram ram koi mere banae to banta nahin hai kaam koi wo karsaz kare us ka intizam koi na hoga bazm ka baaton se intizam koi khud apni baat pe tujh ko nahin qayam koi tumhaare ho ke jo hum zillaten uthate hain zalil hoga kisi ka na yun ghulam koi uthao tegh saza do raqib-e-mufsid ko nasihaton se hua hai kab intizam koi chhuri se rahm kare pahle kis par ab sayyaad koi qafas mein tadapta hai zer-e-dam koi ye mujh se aankh milata nahin hai kyun saqi mere nasib ka shayad nahin hai jam koi jo nam lete hain tera wo qatl hote hain nahin marega jo lega na tera nam koi kuchh aur kijiye tadbir kaam ki 'raghib' ki hae hae se banta nahin hai kaam koi