gulzar-e-mohabbat mein na phule na phale hum manind-e-chinar aag mein apni hi jale hum muddat pe jo kal us se mile ho gae be-khud samjha na gaya ye ki mile kis ke gale hum lohu ki tarah jam gae talwar ke munh par tukde hue par aage se us ke na tale hum aazurda 'abas hote ho tum nala-kashi se lo khush raho ai ham-nafasan yan se chale hum ai wa'da ghalat to nahin aane ka phir andher samjhen hain tera khub ye aare-o-bale hum be-rahm kisi ne na khabar li tere dar par jun naqsh-e-qadam dil hi gae panw tale hum mahfuz rakha 'ishq ne iza-e-ajal se kunjashk the par changul-e-shahin mein pale hum jab 'ishq ki aatish dil-e-afsurda mein bhadki patthar the pe shishe hi ke manind gale hum aankho mein khalaiq ke bure thahre hain 'joshish' is hasti-e-mauhum mein aae the bhale hum