rasm-e-duniya mujh ko bhi aakhir nibhana aa gaya apne mahsusat ko dil mein dabana aa gaya be-zabani ne meri barson rulaya khun mujhe lab-kusha hun jab se thokar mein zamana aa gaya bin tumhaare zindagi thi jaise ek koh-e-giran tum mile hamdam to jine ka bahana aa gaya han faqat ranj-o-alam se aashnai thi meri tum jo aae in labon ko muskurana aa gaya ek din meri tarah tadpoge tum bhi dekhna gar kahin dil ko mere tum ko bhulana aa gaya chaar-su roti bilakti aur tadapti zindagi main bhala kaise kahun mausam suhana aa gaya ek na ek din main bhi 'shama' muskuraungi zarur naqsh-e-mazi gar mujhe dil se bhulana aa gaya