gulzar hai daghon se yahan tan-badan apna kuchh khauf khizan ka nahin rakhta chaman apna ashkon ke tasalsul ne chhupaya tan-e-uryan ye aab-e-rawan ka hai naya pairahan apna kis tarah bane aise se insaf to hai shart ye waza meri dekho wo dekho chalan apna inkar nahin aap ke ghar chalne se mujh ko main chalne ko maujud jo chhodo chalan apna maskan ka pata khana-ba-doshon se na puchho jis ja pe ki bas gir rahe wo hai watan apna