rang laya mera be-barg-o-nawa ho jaana itna aasan na tha us ka khuda ho jaana kaun aawaz baras ban ke raha mahmil-e-naz kis ki qismat mein hai sahra ki sada ho jaana hashr tak be-gunahi naz karegi mujh par wo mera teri nigahon mein bura ho jaana mujh pe wo waqt pada hai ki shikayat kaisi tujh ko lazim tha ba-har-haal khafa ho jaana meri taqdir pe tohmat hi uthai jati tujh ko zeba na tha yun khud se juda ho jaana aaj tak yaad hai kaifiyyat-e-jaan tere huzur sar se pa tak wo mera dast-e-dua ho jaana 'shaz' kanp utthe mere tark-e-mohabbat ke qadam wo kisi pursish-e-pinhan ka bala ho jaana