gulzar mein ek phul bhi khandan to nahin hai kuchh aur hai ye daur-e-bahaaran to nahin hai hai chaak-ba-daman hi tu ai lala-e-khud-sar gul teri tarah dagh-ba-daman to nahin hai achchha hi hua dub gaya mera safina ab kashmakash-e-sahil-o-tufan to nahin hai taqdir ki baat aur hai warna dil-e-muztar ummid ke bar aane ka imkan to nahin hai is bar-e-garan ka hai uthana bahut aasan gham hai kisi kam-zarf ka ehsan to nahin hai pamal kare kyun koi be-dard ki sabza begana sahi nang-e-gulistan to nahin hai qimat mere aansu ki faqat ek tabassum shabnam ki tarah ye koi arzan to nahin hai kyun mujh pe nazar hai teri ai gardish-e-dauran hasti meri duniya mein numayan to nahin hai kuchh dagh hain kuchh zakhm hain 'fazil' ke jigar mein muflis hai magar be-sar-o-saman to nahin hai