kuchh fasla nahin hai adu aur shikast mein

kuchh fasla nahin hai adu aur shikast mein
lekin koi suragh nahin hai giraft mein

kuchh dakhl ikhtiyar ko ho bud-o-hast mein
sar kar lun ye jahan-e-alam ek jast mein

ab wadi-e-badan mein koi bolta nahin
sunta hun aap apni sada baz-gasht mein

rukh hai mere safar ka alag teri samt aur
ek su-e-murgh-zar chale ek dasht mein

kis shah ka guzar hai ki mafluj jism-o-jaan
ji jaan se jute hue hain band-o-bast mein

ye puchh aa ke kaun nasibon jiya hai dil
mat dekh ye ki kaun sitara hai bakht mein

kis soz ki kasak hai nigahon ke aas pas
kis khwab ki shikast umad aai hai tasht mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close