gulzar mein raftar-e-saba aur hi kuchh hai us shokh ke chalne ki ada aur hi kuchh hai karti hai khunuk dil ki tapish baad-e-sahar bhi lekin tere daman ki hawa aur hi kuchh hai shayad wo shabab aane se aagah hua hai palken hain jhukin rang-e-haya aur hi kuchh hai kis shokh ne zulfon ko hawa mein hai udaya ye tauba-shikan kali-ghata aur hi kuchh hai kahne ko to har fard-o-bashar sab hain barabar duniya mein magar shor bapa aur hi kuchh hai bekas ka lahu shoala na ban jae sambhalna paigham sunati ye hawa aur hi kuchh hai wo lakh sitam dhaen kabhi uf na karunga aafat mera dastur-e-wafa aur hi kuchh hai