kiye hain mujh pe jo ehsan jata nahin sakta wo shakhs to mera dil bhi dikha nahin sakta chhupa hua hun tah-e-sang ek muddat se hawa ka jhonka meri samt aa nahin sakta pare hai aaj bhi wo sarhad-e-tasawwur se main us ko puj to sakta hun pa nahin sakta dikha raha hai wahi mauj mauj aks mujhe wo tera aks jise main bana nahin sakta main ek naghma-e-sada-mizaj hun 'asif' qaba-e-saz mein khud ko chhupa nahin sakta