gum hue jate hain dhadkan ke nishan ham-nafaso hai dar-e-dil pe koi sang-e-giran ham-nafaso risne lagti hain jab aankhon se tezabi yaaden baat karte hue jalti hai zaban ham-nafaso dil se lab tak koi kohram sa sannata hai khud-kalami mujhe le aai kahan ham-nafaso ek subuk mauj hai ek lauh-e-darakhshan pe rawan hai tamashai yahan sara jahan ham-nafaso kitne masruf hain masrur nahin phir bhi ye log hai ye kya silsila-e-kar-e-ziyan ham-nafaso sham tamhid-e-ghazal raat hai takmil-e-ghazal din nikalte hi nikal jati hai jaan ham-nafaso rashk-e-mahshar koi qamat to nigahon mein jache dil mein baqi hai abhi tab-o-tawan ham-nafaso zinda ho rasm-e-junun kis ki nawa-rezi se ab raha kaun yahan shoala-ba-jaan ham-nafaso aaj ki sham ghazal kyun na 'khalish' se hi sunen dhund kar lae koi hai wo kahan ham-nafaso