jab KHema-zano! zor hawaon ka ghaTega

jab khema-zano! zor hawaon ka ghatega
khun meri hatheli ka tanabon pe malega

ho pyas to khud apne hi honton ka lahu chus
sukhi hui jhilon mein tujhe kuchh na milega

jalte hue raston ke liye dekh liya kar
khidki na khulegi to dhuan aur ghutega

basti mein gharibon ki jahan aag lagi thi
sunte hain wahan ek naya shahr basega

pedon ki agar nasl-kushi khatm nahin ki
kuchh din mein yahan pedon ka saya bhi bikega

bas aag ubal sakti hain ye murda zaminen
bekar si koshish hai yahan kuchh na ugega

wo murda-dili sham se pahle ki ada thi
is waqt to 'kaifi' kisi maqtal mein milega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close