gum kar den ek zara tujhe khwabon ke shahr mein nukte kuchh aise dhund kitabon ke shahr mein diwangi ki aisi milegi kahan misal kante kharidta hun gulabon ke shahr mein aaine bolte hain to ye bhi bataenge kya be-hijab hun main hijabon ke shahr mein nakaamiyon ki aag mein tapti hain khwahishen jalti hai meri ruh azabon ke shahr mein is ahd-e-na-shanas mein ikhlas ki talab gauhar ki justuju hai hababon ke shahr mein har manzar-e-hasin pe hai ek chadar-e-ghubar kya main bhatak raha hun sarabon ke shahr mein 'anwar' hamein to aaj bhi fikr-o-nigah ke bosida ghar mile hain nisabon ke shahr mein