gum-shuda logon ko kaise ganw mein laega tu izhdiham-e-shahr mein to khud hi kho jaega tu pattharon ke shahr mein jo aadmi patthar ka hai un ko kaise kanch ki poshak pahnaega tu gard-e-ayyari ki tah ko saf main kar dun agar apna chehra dekh kar darpan mein dar jaega tu tu simat jaega bargad ki tarah mumkin nahin sukhe patton ki tarah ek din bikhar jaega tu sach kahega tu adalat mein agar ai 'qadri' apna sar bhi apne shanon par nahin paega tu