guman mujh ko tha insan ho gaya hun khabar kya thi main shaitan ho gaya hun hawa kuchh is tarah ki chal rahi hai bahut andar se viran ho gaya hun achanak dost hindu ho gae hain achanak main musalman ho gaya hun jise dekho wahi samjha raha hai badi mushkil hai aasan ho gaya hun safar se laut kar aaya to paya main apne ghar mein mehman ho gaya hun koi hairat bhi ab hoti nahin hai 'munawwar' itna hairan ho gaya hun