gumbad-e-zulm girane ki khabar milti hai khatim-e-waqt ke aane ki khabar milti hai wo hunar hath mein aaya mujhe ghar mein baithe band aankhon se zamane ki khabar milti hai qais likhta hai mere nam pe name to mujhe dasht mein khak udane ki khabar milti hai jaise aayat utarti hain kisi ke dil par yun musafir ko thikane ki khabar milti hai yani maslub kiya jaega mujh ko phir se ek nai dar sajaane ki khabar milti hai na mujhe ishq mein hoti hai kabhi mat 'suhaib' na mujhe jaan se jaane ki khabar milti hai