khwab dekha hai na aankhon mein junun dekha hai meri wahshat ne faqat haal-e-zabun dekha hai tum ne dekhi hi nahin ganw ki pur-shor faza tum ne bas shahr ki galiyon ka sukun dekha hai ye bata aankh mein hairat utar aai kaise ye na samjha ki mujhe pyar se kyon dekha hai jaise mahtab ulajhta hai rawan lahron se main ne jate hue talab ko yun dekha hai dar-e-aflak to us waqt khula hai mujh par niyat-e-ijz se jab apne darun dekha hai ho gaya naqsh-ba-diwar wahi shakhs 'suhaib' us ki aawaz ka jis ne bhi fusun dekha hai