gumrah kah ke pahle jo mujh se khafa hue aakhir wo mere naqsh-e-qadam par fida hue ab tak to zindagi se taaruf na tha koi tum se mile to zist se bhi aashna hue aisa nahin ki dil hi muqabil nahin raha tir-e-nigah-e-naz bhi aksar khata hue meri nazar ne tum ko jamal-e-ashna kiya mujh ko duaen do ki tum ek aaina hue kya hoga is se badh ke koi rabt-e-bahami manzil hamari wo to hum un ka pata hue ab kya bataen kis ki nigahon ki den thi wo mai ki jis ke pite hi hum parsa hue sunta hun ek maqam-e-ziyarat hai aaj kal wo zindagi ka mod jahan hum juda hue wo aa gae dawa-e-gham-e-jaan liye hue lo aaj hum bhi qail-e-dast-e-dua hue kab zindagi ne hum ko nawaza nahin 'hafiz' kab hum pe bab-e-lutf-o-inayat na wa hue