ek shagufta gulab jaisa tha wo bahaaron ke khwab jaisa tha padh liya hum ne harf harf use us ka chehra kitab kaisa tha dur se kuchh tha aur qarib se kuchh har sahaara sarab jaisa tha hum gharibon ke waste har roz ek roz-e-hisab jaisa tha kis qadar jald ud gaya yaro waqt rang-e-shabab jaisa tha kaise guzri hai umr kya kahiye lamha lamha azab jaisa tha zahr tha zindagi ke saghar mein rang rang-e-sharab jaisa tha kya zamana tha wo zamana bhi har gunah jab sawab jaisa tha kaun gardanta use qatil wo to izzat-maab jaisa tha be-hijabi ke bawajud bhi kuchh is ke rukh par hijab jaisa tha jab bhi chheda to ek fughan nikli dil shikasta rabab jaisa tha is ke rukh par nazar thahar na saki wo 'hafiz' aaftab jaisa tha