gumrahon ka ham-safar rahna bhi achchhi baat hai

gumrahon ka ham-safar rahna bhi achchhi baat hai
raste se be-khabar rahna bhi achchhi baat hai

kuchh na kuchh na-pukhtagi bhi aadmi ka husn hai
kuchh na kuchh na-mo'tabar rahna bhi achchhi baat hai

jis mein sab be-khanuman rahte hon aise shahr mein
ghar ka be-diwar-o-dar rahna bhi achchhi baat hai

aur bhi kuchh din guzar jate wahan to khub tha
us gali mein warna mar rahna bhi achchhi baat hai

jangalon mein zard patjhad ka safar hai zindagi
is safar ka mukhtasar rahna bhi achchhi baat hai

ek na ek khwahish ki chingari sulagti rakh 'zamir'
kuchh phalon ka shakh par rahna bhi achchhi baat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close