bahr-e-hasti mein talatum kabhi aisa to na tha

bahr-e-hasti mein talatum kabhi aisa to na tha
khair-o-shar ka ye tasadum kabhi aisa to na tha

khojta rahta tha insan wo gum-gashta bahisht
khud banata hai jahannum kabhi aisa to na tha

bheje har daur mein jis ne ki payambar apne
wo khuda zehnon se gum hai kabhi aisa to na tha

saz-e-dil jo kabhi naghmat-e-tarab gata tha
ab hai mahrum-e-tarannum kabhi aisa to na tha

ilm ke gauhar-e-nayab jo deta tha kabhi
ab hai khunab wo qulzum kabhi aisa to na tha

qatl-e-insan to ab roz ka mamul hua
dil se mafqud tarahhum kabhi aisa to na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close