gunah-gar-e-wafa laeq-e-saza likh do mere khilaf zamane ka faisla likh do ghiri hai daera-e-karb-e-agahi mein hayat isi hisar mein rahne ka hausla likh do har ek lamha hai nok-e-sinan pe sar apna mujhe sitam-zada-e-jazba-e-ana likh do main dusron se bhi kuchh dad-e-zabt-e-gham paun har ek lab pe mere dil ka muddaa likh do fana ke dasht mein rahte hue zamana hua mere junun ko sar-e-wadi-e-baqa likh do khula mere liye bab-e-asar nahin na sahi mere labon pe koi be-asar dua likh do nawah-e-jaan mein kabhi to bahaar aaegi kabhi to badlegi is dasht ki faza likh do urus-e-fikr ki sada hatheliyon ke nam tamam rang-e-shafaq surkhi-e-hina likh do tumhaare hathon mein shair ka hai qalam ai 'naz' kitab-e-dil pe mohabbat ka hashiya likh do