nazar udas jigar be-qarar chup khamosh tujhe kaha na abhi sabr yar chup khamosh ye manzilon ke sabhi wahime machaen shor magar hai kis liye har rahguzar chup khamosh wo umr bhar ke liye le gaya zaban meri kaha tha us ne kabhi ek bar chup khamosh na tu na teri koi baat na teri aawaz saman hai aaj bahut sogwar chup khamosh abhi samaaten ghayal hain talkh lafzon se sadaen bhi hain badi tar tar chup khamosh yahi to hai jo satata mujhe nahin tujh sa ye tera dard bada burdbar chup khamosh zaban phisal ke teri shan tujh se chhinegi lagam de tu use mere yar chup khamosh 'rabab' koi dilasa na hausla maujud zaban qufl-shuda dil dayar chup khamosh