gunjti hai ye kya sada mujh mein kho gaya kis ka rasta mujh mein harf tha tere pyase honton ka ghul gaya jis ka zaiqa mujh mein main andhera makan hun aa kar tu koi taq hi bana mujh mein apni aankhen bhi mujh mein chhod gaya jis ne dekha tha aaina mujh mein ja chuka tere aasmanon ko jo parinda tha ud raha mujh mein