har haqiqat sarab ki surat khwab mein hun main khwab ki surat main teri hi kitab mein tujh ko rakh chuki hun gulab ki surat tujh ko mahsus kar rahi hun main aane wale azab ki surat lauh-e-mahfuz mein mujhe koi likh raha hai kitab ki surat moajiza hai agar nikal aae khushk mitti mein aab ki surat qarz dungi teri mohabbat ka umr bhar ke azab ki surat