gurez-pa hai naya rasta kidhar jaen chalo ki laut ke hum apne apne ghar jaen na mauj-e-tund hai kuchh aisi jis se khelen hum chadhe hue hain jo dariya kaho utar jaen ajab qarine ke majnun hain hum ki rahte hain chup na khak-e-dasht udaen na apne ghar jaen jabin hai khak se aisi lagi ki uthti nahin junun-e-sajda agar ho chuka to mar jaen zamana tujh se ye kahna hai mar chuke hum log ab apni lash tere bazuon mein dhar jaen hamin bache hain yahan aakhiruz-zaman lekin sabhon ko apna taaruf den dar-ba-dar jaen