mata-o-mal na de daulat-e-tabahi de mujhe bhi mumlikat-e-gham ki baadshahi de khada hua hun main dast-e-talab daraaz kiye na mere sar ko yun ilzam-e-kaj-kulahi de main apne aap ko kis tarah sangsar karun mere khilaf mera dil agar gawahi de main thahre pani ki manind qaid hun khud mein koi nasheb ki jaanib mujhe baha hi de mere dinon ko jawan jism ka ujala de meri shabon ko ghani zulf ki siyahi de kabhi to lazzat-e-kaam-o-dahan do-baala kar hum aise faqa-kashon ko bhi murgh-o-mahi de har ek daur ke suqraat ka ye wirsa hai mujhe bhi la meri zahrab ki surahi de