gurezan rang-o-bu se dil nahin hai abhi shayad junun kaamil nahin hai nigahen apne markaz par hain lekin jahan dil tha wahan ab dil nahin hai sarishk gham mein naghme ho chuke zam magar khamosh saz-e-dil nahin hai abhi baqi hai imkan-e-talatum abhi kashti lab-e-sahil nahin hai phir us se arz-e-gham 'mukhtar' kya ho jo mere haal se ghafil nahin hai