ruh tanha gai jannat ko subuk-sari se chaar ke kandhe utha jism giranbari se taq taqat hai gham-e-hijr ki bimari se baithte uthte hain aahon ki madad-gari se husn-e-rukhsar badha khat ki numudari se zinat-e-safha hui jadwal-e-zangari se tu jo talwar se nahlae lahu mein mujh ko ghusl-e-sehhat hua bhi ishq ki bimari se aur to tark kiya sab ne shab-e-furqat mein bekasi baz na aai meri gham-khwari se