guzar chuki hai jo shab iztirab kaisa hai ufuq pe hosh-ruba iltihab kaisa hai wajudiyat ka ye rangin sarab kaisa hai har ek chehre pe mubham naqab kaisa hai rahenge marhale tazir ke jo mar kar bhi ye zindagi ka musalsal azab kaisa hai khuda hi jaane ki din mein tawil raat ke baad hain shab-gazida jo sab ehtisab kaisa hai wo haal puchhne aae to main khamosh raha sawal khub tha lekin jawab kaisa hai kitab lakh purani sahi magar is par chhapa hai ab jo naya intisab kaisa hai hai marifat ka safar aagahi se hairat tak murajat ka jo ho irtikab kaisa hai wita-e-kahkashan par zamin ke bare mein jo bhigi aankhon ne dekha wo khwab kaisa hai main jaanta hun magar tu bhi aaina le kar mujhe bata ki mera intikhab kaisa hai