hai aab aab mauj bipharne ke bawajud

hai aab aab mauj bipharne ke bawajud
duniya simat rahi hai bikharne ke bawajud

rah-e-fana pe log sada gamzan rahe
har-har nafas pe maut se darne ke bawajud

is bahr-e-kaenat mein har kashti-e-ana
gharqab ho gai hai ubharne ke bawajud

shayad padi hai raat bhi sare chaman pe os
bhige hue hain phul nikharne ke bawajud

zer-e-qadam hai chand sitare hain gard-e-rah
dharti pe aasman se utarne ke bawajud

tufan mein dub kar ye hua mujh pe inkishaf
pani thi sirf mauj bipharne ke bawajud

main us maqam par to nahin aa gaya kahin
hogi na subh raat guzarne ke bawajud

alfaz-o-saut-o-rang-o-tasawwur ke rup mein
zinda hain log aaj bhi marne ke bawajud

ibham-e-agahi se main apne wajud ka
iqrar kar raha hun mukarne ke bawajud


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close