guzar gai jo chaman par wo koi kya jaane jhade hue hain bahaar-o-khizan ke afsane jahan pe chaak-e-gareban bhi chaak-e-dil ban jae guzar rahe hain ab un manzilon se diwane mere labon ka tabassum to sab ne dekh liya jo dil pe bit rahi hai wo koi kya jaane tere huzur jinhen kah saki na goyai mere sukut ne dohra diye wo afsane nigah-e-ishq mein dair-o-haram ki qaid nahin kahin bhi shama jale ud chalenge parwane tamam wusat-e-kaunain ko dubo denge chhalak gae jo kahin us nazar ke paimane na ishtiyaq-e-nazara na e'tibar-e-jamal thahar gai hai kahan zindagi khuda jaane na sham-e-bazm pe kuchh aanch aaegi 'iqbaal' khud apni aag mein jalte rahenge parwane