jab us ke samne suraj hawa nadi kya hai hum aadmi hain hamari bisat hi kya hai bichhad ke ghar se yahi sochta hun main din-raat shajar se tut ke patton ki zindagi kya hai jale magar jo na raushan hue zamane mein wahi charagh samajhte hain raushni kya hai bas ek raat ka mehman hai parinda yahan use pata hi nahin shakh chahti kya hai hamare aansu jo chahen to gharq ho duniya hamare bare mein duniya ye jaanti kya hai kabhi khamosh kabhi tez-rau bipharti hai pahad se koi puchhe zara nadi kya hai