guzar jata hai yun daur-e-shabab aahista aahista ki utre jis tarah kaif-e-sharab aahista aahista shafaq hoti hai jaise muntaqil shab ke andheron mein badalti jati hai tabir-e-khwab aahista aahista chalega silsila kuchh aur abhi khana-kharabi ka ki baste hain tabah-e-inqalab aahista aahista jaraem ke bagule rafta rafta ban gae tufan fasil-e-shahr par tuta azab aahista aahista rawish yak-lakht badle yun kabhi hote nahin dekha hamara taur badlega janab aahista aahista tasahul hum ne barta ya taghaful aap ki khu hai milega in sawalon ka jawab aahista aahista achanak ru-numai se nazar khira na ho jae zara sarkaiye rukh se naqab aahista aahista padhin logon ne jis par talkhiyan umr-e-guzishta ki mera chehra bana aisi kitab aahista aahista gham-e-dauran ki roz-afzun sitamgari ne ai 'mohsin' hamari zist kar dali azab aahista aahista aahista