ubhar kar falak tak jo aae hue hain wo sadiyon ke gahre dabae hue hain lihafon ki socho alawon ki chhodo ki baadal fazaon pe chhae hue hain hain kaghaz pe mere ibarat ke dhabbe tumhaare qalam ke lagae hue hain kamal-e-hunar hai qafas mein hain lekin qafas ko chaman hum banae hue hain hai jaana jo un ko bahut dur wapas yahan tak mere sath aae hue hain